Zuban ki aik aafat logon ke raaz faash karna bhi hai. Aur yeh aik tarah ki khayanat hai jo keh mamnu hai. Kyun keh is se os shakhs ko takleef pohanchti hai jis ka raaz faash kya jaye. Hazrat Ibn Masood رضی اللہ عنہ se marwi hai keh: Sarwar e Aalam ﷺ nay farmaya :” Jab 2 shakhs aapas mein aik dosray ko raaz daan banayen to aik ke liye dosray ka woh raaz faash karna jaiz nahi jiska faash hona pehlay ko nagawaar guzray”.
(شعب الایمان ،رقم الحدیث ۱۱۱۹۱، ج۷،ص۵۲۰)
Jab keh Hazrat Jabir رضی اللہ عنہ se riwayat hai keh. Rahmat e Konain ﷺ nay farmaya : ” 1 shakhs ki baat dosray ke paas amanat hai.”
(سنن الترمذی ، کتاب البر والصلۃ ، باب ماجاء فی ان المجالس امانۃ، رقم الحدیث ۱۹۶۶، ج۳، ص۳۸۶)
Aur Hazrat Abbu Saeed رضی اللہ عنہ se riwayat hai keh Rasool e Akram ﷺ nay farmaya : ” Roz e Qayamat Allah ke nazdeek sab se bُura woh hoga jo apni biwi se ya jo biwi apne shohar se qazaye shehwat kary aur un mein se koi apne hamsafar ka raaz faash krde”.
(صحیح مسلم,كتاب النكاح,باب تحریم افشاء سرالمرءۃ رقم الحدیث ١٤٣٧,ص٧٥٣)
Jin Baaton ko zahir karna jaiz hai
Lekin teen qisam ki baton ko zahir karna jaiz hai jaissa keh…
Hazrat e Jabir رضی اللہ عنہ se riwayat hai keh Huzoor Pur Noor ﷺ ne farmaya :” Majalis amanat hain siwaye 3 qisam ki majalis ke,
- Jis majlis mein kisi ko na-haq qatal karne ka mansubah banaya gaya ho.
- Haram jimaa ka mansubah bana ho.
- Na-haq maal lainay ka mansubah bana ho.”
(سنن ابی داؤد ، کتاب الادب ،رقم الحدیث ۴۸۶۹، ج۴،ص۳۵۱)
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeq ataa farmay. Amen