Rajab khoob sawab kamanay ka maheena hai. Es mahinay mein nakiyon ka ajar double kar diya jata hai. Es mein duayen qubool hoten, Es mein mushkilaat hal hoti hain. Aur Es mahinay mein momin ki dua radd nahi ki jati. Rajab ki Fazilat bahut ziyada hai jaisa keh.
Jannat ki Neher
Jannat ki aik neher ka naam bhi “Rajab“ hai. Jis ka pani doodh se ziyada safaid, shehad se ziyada meetha hai. To jo koi Rajab ka aik roza rakhay to Allah pak usay os neher se sairaab kary ga. ” [1]شعب الایمان ج۳ص۳۶۷حدیث۳۸۰۰
Es mah mein shaitanon ko Rajam [2]Yani Sang Saar kiya jata hai taa keh woh musalmanoon ko takleef nah den. Es mah mein kisi qoum par Allah pak ne azaab ko nazil nahi fermaya. Allah pak ne pichli ummaton ko har mahinay mein azaab diya aur es mah mein kisi qoum ko azaab nah diya. [3]غنیة الطا لبین ص۲۲۹
Rajab ke Fazilat
Rasool Allah ﷺ ne farmaya : Allah pak ke pasandeeda mahinon mein Rajab ka maheena hai, yeh Allah ka maheena hai. Jis ne Allah pak ke mahinay Rajab ki tazeem ki, os ne Allah pak ke hukum ki tazeem ki aur jis ne khuda ke hukum ki tazeem ki Allah pak osko naimaton walay baghaat mein daakhil kary ga aur os ke liye apni barri Riza wajib kary ga. [4] شعب الايمان:۳/۳۷۴،حدیث ۳۸۱۳
Aik aur maqam par irshad farmaya : Rajab Allah pak ka maheena aur shabaan mera maheena aar ramzan meri ummat ka maheena hai. [5] الفردوس بمأثور الخطاب ج۲ص۲۷۵ حدیث ۳۲۷۶
Ahadees Mubarikah aur Rajab ke Fazail
Rajab ki fazilat par mushtamil 3 Hadeesen mulahiza fermaiye:
1. Piyare aaqa ﷺ ne aik baar Sahaba Karaam se irshad farmaya : Tum par lazim hai ke mahe Rajab ki raatain qiyam mein guzaaro aur es kay din rozay ki haalat mein guzaaro aur jo shakhs is mahinay ke kisi din mein 50 (Rakat) namaz parhay, es terhan keh har rakat mein baqadar e istetat Quran e Pak ki tilawat kary, to Allah pak os shakhs ko os kay balon aur rouun ki tadaad ke barabar naikian ataa farmaiye ga. [6]تاریخ دمشق،٤٣ /٢٩١، ذکر علی بن یعقوب بن یوسف بن عمران البلاذری
2. Aik baar piyare Aaqa ﷺ ne Rajab ke mahinay mein jummay ka khutba dety hue irshad farmaya : Ae logo! Bayshak tum par aik azeem maheena saya figan hai, Es mahinay mein nakiyon ka ajar dugna diya jata hai, Es mein duayen qubool hoti hain, Es mein mushkilaat hal hoti hain, aur es mahinay mein momin ki dua radd nahi hoti, pas jo shakhs es mahinay mein koi bhalai ka kaam kary to osko kayi guna ajar diya jata hai. [7]تاریخ دمشق،٤٣ /٢٩١، ذکر علی بن یعقوب بن یوسف بن عمران البلاذری
3. Sarkar e Madinah ﷺ ka farmaan hai : Rajab ke mahinay mein istaghfar ki kasrat karo. Bayshak is ke har har lamhay mein kayi kayi afraad ko Allah pak aag se khulasi ataa farmata hai. [8]کنزالعمال، ج۱،حصہ اول، ص۲۴۳، کتاب الاذکار،الفصل الاول فی الاستغفار، حدیث:۲۰۹۸
27 Rajab ki fazilat
Jis terhan Rajab ki pehli sham nihayat ahem hai, Esi terhan eski 27 tareekh bhi bohat fazilat wali hai. Kyun kay yehi woh azeem raat hai, Jis mein piyary Aaqa ﷺ ki taraf pehli wahi bhaije gayi aur esi raat mein Sarkar ﷺ miraj ke liye tashreef lay gaye.
Yehi wajah hai keh 27 shab mein ibadat karne aur es kay din mein roza rakhnay walay khush naseebon ko dheron ajar o sawab ataa kiya jata hai. Jaisa keh 3 Faramin e Mustafa ﷺ hen:
- 27 Rajab ko mujhe nabuwat ataa hui, Jo es din ka roza rakhay aur iftaar ke waqt dua kary, 10 saal ke gunaahon ka kaffara ho. [9]فتاویٰ رضویہ ،ج۱۰ ص۶۴۸،از فیضان سنت، ص۱۳۶۷
- 27 Rajab mein naik amal karne walay ko 100 saal ka sawab milta hai. [10]شعب الایمان ج۳ص۳۷۴ حدیث ۳۸۱۲
- Rajab mein aik din aur aik raat hai, Jo os din ka roza rakhay aur woh raat nawafil mein guzaray, Yeh 100 saal ke rozon ke barabar ho aur woh 27 Rajab hai. Esi tareekh ko Allah pak ne Muhammad ﷺ ko maboos farmaya. [11]شعب الایمان ج۳ص۳۷۳حدیث۳۸۱۱
Rajab ke pehly 3 rozon ki fazilat ke baray mein Aap ﷺ ka farmaan hai : “Rajab ke pehlay din ka roza 3 saal ka kaffara hai aur dosray din ka roza 2 saal ka aur teesray din ka aik saal ka kaffara hai, phir har din ka roza aik mah ka kaffara hai.” [12]الجامع الصغیر للسیوطی ص۳۱۱ حدیث ۵۰۵۱ Yahan “Gunah ka kaffara” se murad yeh hai keh yeh rozay, gunah e saghira ki mafi ka zareya ban jatay hain.
Rajab ki Dua
Jab Rajab ka maheena aata to Nabi e Akram ﷺ yeh dua parhaty thay:
Translation: Ae Allah pak! Tu hamaray liye Rajab aur shabaan mein barkaten ataa farma aur hamein Ramzan tak pohancha. [13]المعجم الا وسط للطبرانی، ج۳، ص۸۵، الحدیث : ۳۹۳۹
Rajab ke Roza
Rasool Allah ﷺ ne farmaya : Jis ne Rajab ka aik roza rakha to woh aik saal ke rozon ki terhan ho ga. Jis ne 7 rozay rakhay os par jahannum ke saton darwazay band kar diye jayen gay, Jis ne 8 rozay rakhay os ke liye jannat ke aathon darwazay khol diye jayen ge, Jis ne 10 rozay rakhay woh Allah pak se jo kuch mangay ga Allah pak usay ataa farmaye ga.
Jis ne 15 rozay rakhay to aasman se aik munaadi nida karta hai keh tairay pichly gunah bakhash diye gaye pas to az sar e no amal shuru kar keh teri buraiyan nakiyon se badal di gayeen aur jo zayed kary to Allah pak usay ziyada day. Aur Rajab mein hazrat Nooh علیہ السلام kashti mein sawaar hue to khud bhi roza rakha aur saath walon ko bhi rozay ka hukum diya. Un ki kashti 10 Muharram tak 6 mah safar karti rahi. [14]شعب الایمان ج۳ص۳۶۸حدیث۳۸۰۱
Hazrat Abu-Huraira رضی اللہ عنہ farmatay hain : Jo koi 27 Rajab ka roza rakhay, Allah pak os ke liye 60 mahinay ke rozon ka sawab likhay. [15]فضائل شہر رجب ، للخلال ص۱۰
100 Saal ke rozay ka Sawab
27 Rajab ki azmaton ke kya kehnay! Esi tareekh mein hamaray Aaqa ﷺ ko miraj shareef ka azeem mojza ataa hua. [16] شرح الزرقانی علی المواہبِ اللدنیۃ ج۸ص۱۸
Chunancha 27 Rajab ke rozay ki barri fazilat hai. Jaisa ke farmaan Aakhri Nabi ﷺ hai : “Rajab mein aik din aur raat hai jo os din roza rakhay aur raat ko qiyam (ibadat) kary to goya os ne 100 saal ke rozay rakhay, 100 saal ki shab baydaari ki aur yeh Rajab ki 27 tareekh hai.” [17]شعب الایمان ج۳ص۳۷۴حدیث ۳۸۱۱
Hawala Jaat