Ramzan ki Fazilat aur Rozadar ko milne wala inam

Jon hi Ramzan aa jata hai. To har taraf rehmaton ki baharen aa jati hen. Wesy to Ramzan sharef ke fazail be shumar hen. Ye mahina bari hi fazelaton ka hamil hai. Esi hawaly se ek Ramzan ki fazilaton mein se ek fazilat main bhi aapki khidmat mein pesh karta hon. Umeed hai aap bhi es se zarur istefada hasil karen gey. Ya qismat naseeb humen agla ramzan naseeb ho ya na ho.

Sonay ke Darwazay wala Mehal

Huzur Nabi e Kareem ﷺ ka farman e Rehmat nishaan hai.

“Jab Mahِ e Ramzan ki pehli raat aati hai to aasmano aur jannat ke darwazay khol diye jatay hain aur aakhir raat tak band nahi hotay. Jo koi banda is mah e mubarak ki kisi bhi raat mein namaz parhta hai. To Allah عزوجل uss ke har sajda ke aiwaz uss ke liye 1500 naikian likhta hai aur us ke liye jannat mein surkh yaqoot ka ghar banata hai. Jis mein 60000 darwazay hon ge. Aur har darwaze ke pat sonay ke banay hon ge jin mein yaqoot surkh jarey hon ge.

Pas jo koi mah e ramadan ka pehla roza rakhta hai to us ke sabqa gunah maaf kar diye jate hain. Aur us ke liye subah se shaam tak 70000 FARISHTAY dua e maghfirat karte rehte hain. Raat aur din mein jab bhi woh sajda karta hai. Us ke har sajde ki awaz usay ( Jannat mein ) ek aisa darakht ataa kya jata hai ke us ke saaye mein ghor sawar 500 baras tak chalta rahe.”

سُبْحٰنَ اللہ عَزَّوَجَلَّ Khuda e Pak ka kis qadar azeem ehsan hai hum par keh os ne humen es qadar ba barkat Ramzan atta fermaya keh es mein Jannat ke tamam darwaze khul jate hen. Aur nekion ka ajar khub khub barh jata hai. Lehaza hamen chahye keh es mubarak mah ki qadar karte hue esko khub khub nakion mein guzaren.
(Shob ul Eman Jild3,Page314,Hadis3635)

4/5 - (1 vote)

One thought on “Ramzan ki Fazilat aur Rozadar ko milne wala inam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *