Tana zani kar kay dusron ka jigar chhalni karna bhi baaz logon ka vatirah hota hai. Allah Pak farmata hai :
وَلَا تَلْمِزُوۡۤا اَنۡفُسَکُمْ
Tarjama e Kanz ul Eman : Aur aapas mein tana nah karo.”
(پ ۲۶،الحجرات:۱۱ )
Jab keh Hazrat Maaz bin Jabal رضی اللہ عنہ se riwayat hai keh Makki Madani Sultan ﷺ nay farmaya :
”Jis nay apne bhai ko kisi gunah par aar dilae marray ga nahi jab tak os gunah mein mubtila nah ho.” Aik riwayat mein hai keh” os gunah par aar dilae jis se tauba kar chuka.”
(سنن الترمذی ، کتاب صفۃ القیامۃ ، رقم الحدیث ۲۵۱۳،ج۴،ص۲۲۷)
Aur Hazrat e Wasilat bin Asqa se marwi hai keh Huzoor Purnoor ﷺ nay farmaya :
” Apne bhai ko aar nah dlao ke usay chhutkara day kar tumhen mubtala kar diya jaye.”
(سنن الترمذی ، کتاب صفۃ القیامۃ ، رقم الحدیث ۲۵۱۴،ج۴،ص۲۲۷)
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeq ataa farmaiye. Amen