Hazrat e syeduna Abbu Umama رضی اللہ عنہ farmatay hain keh main ne Rasool Ullah ﷺ ko farmatay hue suna keh:
“Quran parha karo kyunkeh yeh qayamat ke din apne parhnay walon ki Shafaat karega.”
(مسلم ،کتاب صلاۃ المسافرین ،باب فضل قراء ۃ القرآن ، رقم ۲۵۲، ص ۴۰۳)
Syeduna Abdullah bin umar رضی اللہ عنہ se rivayet hai keh Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
“Rozay aur Quran qayamat ke din bande ke liye Shafaat karen ge roza arz karega ya Rab main ne esay din mein khanay peenay aur khwahishat se rok diya tha lehaza meri shafaat es kay haq mein qubool farma jab kah Quran e pak kahe ga ay Rab e pak main ne esay raat ko sonay se rok diya tha lehaza meri shafaat es kay haq mein qubool farma phir un dono ki shafaat qubool karli jaye gi.”
(مسند احمد، مسند عبداللہ بن عمرو بن عاص، رقم ۶۶۳۷، ج۲ ،ص ۵۸۶)
Hazrat e syeduna Abu Hurera رضی اللہ عنہ se rivayet hai keh Rasool ullah ﷺ ne farmaya:
“Jis ne kitab ullah ki aik aayat tavajja ke sath suni us kay liye aik neki izafah ke sath likhi jaye gi aur jis ne uski talawat ki woh aayat us kay liye qayamat ke din noor ban jaye gi.”
(مسند احمد، مسند ابی ہریرہ، رقم ۸۵۰۲ ،ج۳ ،ص ۲۴۵)
Suraj sey barh kar roshni
Rasool ullah ﷺ ne farmaya keh jo shakhs Quran ko parhay aur is par amal kare to qayamat ke din os ke maa aur baap ko aisa taaj pehnaya jaye ga keh os ki roshni duniya ke suraj ki roshni se barh kar hogi jab keh suraj ko itna qareeb farz kar liya jaye phir tum samajh satke ho keh jab maa baap ka ye martaba ho ga to os shakhs ka kya darjah ho ga jis ne Quran e kareem par amal kya.
(مسند احمد،ج۵،رقم۱۵۶۴۵،ص۳۱۴)
Hazrat Ibn e masood رضی اللہ عنہ se marwi hai keh Sarwar e Aalam ﷺ ne farmaya keh:
“Jo shakhs kitaab Ullah mein se aik harf parhay to os ko har harf ke badlay mein aik neki miley gi aur har neki 10 nakiyon ke barabar ho gi. Main الم ko aik harf nahi kehta balkeh alif aik harf hai ل aik harf hai aur م aik harf hai.”
(ترمذی ،کتاب فضائل القرآن ،رقم ۲۹۱۹،ج۴،ص۴۱۷)
Note: Quran e pak mein kul 321267 huroof hain to puray Quran ki tilawat se 3212670 naikian milein gi.
Allah pak hamein apni zuban tilawat e quran mein istemaal karne ki tofeeq ataa farmaiye. Aamen
Maja aip sa bit karene ha
G fermaien