Hamary pyary piyar Aaqa ﷺ 12 Rabi ul Awal ko subh-e sadiq ke waqt jahan mein tashreef laaye. Aur aa kar be saharon, gham ke maron, dukhyaron, dil figaron aur dar dar ki thokrain khanay walay be charon ki sham e ghriban ko ”Subh-e bahaaraan” bana diya.
12 Rabi ul Awal shareef ko Allah pak ke noor ﷺ ki duniya mein jalva gri hotay hi kufar o Zulmat ke badal chaatt gaye, shah e Iran ” kisra ” ke Mehal par zalzala aaya, 14 kungray gir gaye. Iran ka jo aatish kada 1 hazaar saal se shola zann tha woh bujh gaya, Darya e sawa khushk ho gaya, Kaabay ko wajad aa gaya aur buut sar ke bal gir parre.
Teri aamad thi ke bait Ullah mujray ko Jhuka
Teri haibat thi ke har buut thar thara kar gِir gaya
(حدائق بخشش ص۴۱)
Tajdar e Risalat ﷺ jahan mein fazl o Rehmat ban kar tashreef laaye. Aur yaqeenan Allah pak ki Rehmat ke nuzool ka din khushi o musarrat ka din hota hai. Chunancheh Allah pak irshad farmata hai:
قُلْ بِفَضْلِ اللہِ وَبِرَحْمَتِہٖ فَبِذٰلِکَ فَلْیَفْرَحُوۡا ؕ ہُوَ خَیۡرٌ مِّمَّا یَجْمَعُوۡنَ ﴿۵۸﴾۔
Tarjama e Kanz ul Iman: Tum farmao Allah hi ke Fazl aur usi ki rehmat aur usi par chahiye ke khushi karen. Wo un ke sab Dhan doulat se behtar hai.
(پ۱۱، یونس:۵۸)
اللہُ اکبر! Rehmat e khuda wandi par khushi mananay ka Quran e kareem hukm day raha hai aur kya hamaray piyare Aaqa ﷺ se barh kar bhi koi Allah pak ki Rehmat hai? dekhye muqaddas Quran mein saaf saaf elaan hai:
وَمَاۤ اَرْسَلْنٰکَ اِلَّا رَحْمَۃً لِّلْعٰلَمِیۡنَ ﴿۱۰۷﴾۔
Tarjama e Kanz ul Iman: aur hum naay tumhen nah bheja magar Rehmat saaray Jahan ke liye.
(پ۱۷، الانبیاء:۱۰۷)