Masjid mein duniya ki baatein karna bhi aaj ke jadeed muashray mein mayoob nahi samjha jata. Halaan keh Madani Aaqa ﷺ ne irshad farmaya,” Quran e pak parhnay, Zikar Ullah عزوجل karne, aur bhalai ki baat puchnay ya batanay ke siwa har baat masjid mein fuzool hai.”
(کنزالعمال ،کتاب الصلوٰۃ ،رقم۲۰۸۳۶،ج۷،ص۲۷۳)
Hazratِ e Syedna Hassan Basri رضی اللہ عنہ se ba-tareeq mursal rivayat hai keh. Rasool Allah ﷺ nay farmaya :” Aik zamana aisa aeye ga keh log masjidoon ke andar duniya ki baatein karen ge. To os waqt tum un logon ke paas nah baithna. Khuda e Pak ko un logon ki kuch parwa nahi.”
(شعب الایمان،باب فی الصلوۃ،رقم۲۹۶۲،ج۳،ص۸۷)
Hazratِ Syedna Abu-Hurera رضی اللہ عنہ se marwi hai keh Rehmat e Aalam ﷺ nay farmaya :” Jisay masjid mein gumshudaa cheez talaash karte dekho to dua karo ke woh cheez usay nah miley kyun keh masajid en kamon ke liye nahi banen”.
(مسلم ، کتاب المساجد ، باب النھی عن نشد الضالۃ فی المسجد ومایقولہ ، رقم الحدیث۵۶۸، ص۲۸۴)
Hazrat Abbu Huraira رضی اللہ عنہ se hi rivayat hai keh Sultan e Madinah ﷺ nay farmaya :” Jab tum kisi ko masjid mein khareed o farokht karte dekho to kaho : Allah tujhe is tijarat mein naffa nah day aur jab kisi ko gumshudaa cheez talaash karte dekho to kaho, Allah kary tujhe yeh cheez nah miley”.
(ترمذی کتاب البیوع ، باب النھی عن البیع فی المسجد ، رقم الحدیث۱۳۲۵،ج۳،ص۵۹)
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeq ataa farmaiye. Amen