Musalmanoon ke liye aik aisa imam zurori hai. Jo un mein shara ke ahkaam jari kare, haden qaim kare, lashkar tarteeb day, sadqat wusool kare, choron, luteron, hamla awaron ko qaboo kare, jummah o eidain qaim kare, musalmanoon ke jhagrre katay, haqooq par jo gawahiyan qaim hon woh qubool kare, un baykas yatimon ke nikah kare jin ke walii nah rahay hon aur in ke siwa wo kaam anjaam day jin ko har aik aadmi anjaam nahi day sakta.
Imam ke liye zarori hai ke woh zahir ho chhupa hua na ho. Warna woh kaam anjaam nah day sakay ga jin ke liye imam ki zaroorat hai. Yeh bhi lazim hai keh imam Qureshi ho, Qureshi ke siwa aur ki imamat jaaiz nahi. Imam ke liye zarori hai keh musalman, mard, azad ho, Aaqil, baaligh aur apni raye, tadbeer aur Shaukat o qowat se musalmanoon ke umoor mein tasarruf ( Dakhal ) kar sakta ho yani sahib e siyasat ho aur apne ilm, Adal aur shujaiat o bahaduri se ahkaam nafiz karne aur daar ul islam ke sarhadoon ki hifazat aur zalim o mazloom ke insaaf par Qadir ho.
Huzoor ﷺ ke sahaba رضی اللہ تعالیٰ عنہم
Huzoor Nabi kareem ﷺ ke tamam sahaba رضی اللہ تعالیٰ عنہم muttaqi o parhaizgaar hain un ka zikar adab, mohabbat aur touqeer ke sath lazim hai. Un mein se kisi ke sath bad aqidgi ya kisi ki shaan mein bad goi karna intahai darjah ki bad naseebi aur gumraahi hai. Woh firqa nihayat bad bakht aur bad deen hai jo sahaba رضی اللہ تعالیٰ عنہم par laan ta’an ko apna mazhab banaye un ki dushmani ko sawab ka zareya samjhay.
Sahaba e karaam رضی اللہ تعالیٰ عنہم ki barri shaan hai. Un ki takleef se Uuzoor ﷺ ko aeza hoti hai. Koi walii, koi Ghous , koi qutub martaba mein kisi sahabi ke barabar nahi ho sakta. tamam sahaba e karaam رضی اللہ تعالیٰ عنہم jannati hain. Roz e mehshar farishtay un ka istaqbaal karen ge.