Yeh aik hoz hai. Jis ki teh mushk ki hai Yaqoot aur motiyon par jari hai. Hoz e kausar Nabi ﷺ ko marhamat hua, haq hai. Us kay dono kinare sonay ke hain aur un par motiyon ke qubbey ( gunbad, burj ) nasb hain. Charon gooshay barabar yani zawiye Qaima hain. Os ki matti nihayat khushbodar mushk ki hai. Aur os ke bartan ginti mein aasman ke sitaron se bhi ziyada hain.
Os ka pani doodh se ziyada safaid, shehad se ziyada meetha, mushk se ziyada khushbodar hai. Jo aik martaba piye ga phir kabhi piyasa nah hoga. Os mein jannat se do par naalay har waqt girtay hain, aik sonay ka, dosra chandi ka. Allah pak ny yeh hoz apne Habib e Akram ﷺ ko ataa farmaya hai. Huzoor ﷺ is se apni ummat ko sairaab farmaen gey. Allah pak hamein bhi naseeb farmaiye. Aamen .