Allah ke woh maqbool bande jo oski zaat o sifaat ke pehchanney walay hon, os ki itaat o ibadat ke paband rahen, gunaaho se bachen, unhen Allah Pak apne fazl o karam se apna qurb e khaas ataa farmaiye un ko “Aulia Allah” kehty hain. Un se ajeeb o ghareeb karamatain zahir hoti hain maslan aan ki aan mein mashriq se maghrib mein pohanch jana, pani par chalna, hawa mein urna, jamadat ( pathar waghera ) o hewanat se kalam karna, blayen dafaa karna, dour daraaz ke halaat un par zahir hona.
WhatsApp Channel
Follow Now
YouTube Channel
Subscribe
Aulia Allah ki karamatain
Aulia ki karamatain dar haqeeqat un Anabia علیھم السلام ke mojzat hain jin ke woh ummati hon. Allah ke Walion ki mohabbat dono jahan, duniya o akhirat ki saadat aur raza e Ellahi ka sabab hai. Un ki barket se Allah pak makhlooq ki hajtein poori karta hai. On ki duaon se makhlooq faida othati hai. Un ke mazaron ki ziyarat se barkat hasil hoti hain. Un ke waseela se dua karna kamyabi hai.
Isal e sawab
Marnay ke baad murdon ko sadqa, khairaat, tilawat e quran shareef, zikar e Ellahi aur dua se faida hota hai. Un sab cheezon ka sawab pohanchta hai. Isi liye Fatiha waghera musalmanon mein bohat pehlay se jari hai aur sahih ahadees se yeh umoor saabit hain. En ka munkir gumraah hai.
Allah pak imaan e kaamil par zindah rakhay aur isi par uthaye apne mahbubon ki mohabbat ataa farmaiye aur apne dushmanon se bachaaye. (Amen)