Taoon ki Waba

Taoon ki waba aur Ek Badshah Jo Taoon key Dar sey Bhag Nikla

Manqool hai keh banu umayya ka badshah Abdul Malik bin Mervan jab mulk e shaam mein taoon ki waba phaili to mout ke dar se ghoray par sawaar ho kar –apne shehar se bhaag nikla aur sath mein –apne khaas ghulam aur kuch fouj bhi le li aur woh taoon ke dar se is qadar khaif aur harasan tha keh zameen par paon nahi rakhta tha balkay ghoray ki pusht par sota tha. Doranِ safar aik raat usko neend nahi aayi. To us ne –apne ghulam se kaha keh tum mujhe koi qissa sunaaoo.

Fox and Lion

To hooshiyar ghulam ne badshah ko nasiyaat karne ka mauqa pa kar yeh qissa sunaya ke aik lomrri apni jaan ki hifazat ke liye aik sher ki khidmat guzari kiya karti thi to koi darinda sher ki Haibat ki wajah se lomrri ki taraf dekh nahi sakta tha . Aur lomrri nihayat hi be khofi aur itminan se sher ke sath zindagi basar karti thi.

Achanak aik din aik uqaab lomrri par jhapta to lomrri bhaag kar sher ke paas chali gayi. Aur sher ne us ko apni peeth par bitha liya. Uqaab dobarah jhapta aur lomrri ko sher ki peeth par se –apne chungal mein daba kar urr gaya. Lomrri chila chila kar sher se faryaad karne lagi to sher ne kaha ke ae lomrri! Main zameen par rehne walay darindon se teri hifazat kar sakta hon lekin aasman ki taraf se hamla karne walon se main tujhy nahi bacha sakta.

Yeh qissa sun kar Abdul Malik badshah ko barri Ibrat haasil hui aur uski samajh mein aa gaya keh meri fouj un dushmanon se to meri hifazat kar sakti hai jo zameen par rehtay hain magar jo balayen aur wabayin aasman se mujh par hamla aawar hon, Un se mujh ko nah meri badshahi bacha sakti hai nah mera khazana aur nah mera lashkar meri hifazat kar sakta hai.

Aasmani balaun se bachanay wala to bajuz Khuda ke aur koi nahi ho sakta. Yeh soch kar Abdul Malik badshah ke dil se taoon ka khauf jata raha aur woh riza e Ellahi par raazi reh kar sukoon o itminan ke sath –apne Shahi mahal mein rehne laga . [1]تفسیر روح البیان،ج۱،ص۳۷۸،پ۲،البقرۃ:۲۴۴

Moral

Is hekiyaat se hamein bhi sabaq haasil karna chahiye. Corona virus bhi aik balaa hai jis ka muqaabla hum nahi kar satke. Aur nah hi hum mout se bhaag satke hain. Is se sirf Allah pak ki Riza hi hamein bacha sakti hai. Jitna ho sakay uski panah talabb karen. Woh bohat kareem hai uzar qubool farmane wala hai. Woh zaroor hamari sunay ga. Allah pak hamari hifazat farmaye. Aamen

2.3/5 - (3 votes)

Hawala Jaat[+]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *