Taqdeer kya hai in Islam

Kya ek insan Taqdeer kay hathon majbour hai?

Jo kuch aalam mein honay wala tha aur jo kuch banday karne walay thay sab ko Allah ne apne ilm se jaan kar likh diya. Isi ko taqdeer kehte hain. Ab is se yeh lazim nahi aata ke insaan majboor hai. Usay to wohi karna hai jo taqdeer mein likha hai. Balkay jo yeh karne wala tha taqdeer mein woh likha gaya.

Esay aasaan misaal se youn samjhain keh adwiyaat (Medicines) par aik expiry date likhi hoti hai. Keh yeh dawai fulan tareekh ko kharab hogi. Ab koi yeh kahe keh dawai is liye kharab ho gi kyun keh is par expiry date likhi hai. To uska yeh kehna durust nahi hoga. Balkay dawai ne to apne muqarara waqt par kharab hona tha yeh tareekh to faqat uski khabar day rahi thi. Isi terhan taqdeer ka maamla hai keh insaan ne woh kaam muqarara waqt mein karna tha taqdeer to uski khabar day rahi thi.

Taqdeer in Quran

Taqdeer likhay jane ki aik bohat piyari wajah quran mein bayan ki gayi hai. Surah Hadid ki aayat number 22 aur 23 mein Allah pak farmata hai:

مَاۤ اَصَابَ مِنْ مُّصِیْبَةٍ فِی الْاَرْضِ وَ لَا فِیْۤ اَنْفُسِكُمْ اِلَّا فِیْ كِتٰبٍ مِّنْ قَبْلِ اَنْ نَّبْرَاَهَاؕ-اِنَّ ذٰلِكَ عَلَى اللّٰهِ یَسِیْرٌۚۖ(۲۲) لِّكَیْلَا تَاْسَوْا عَلٰى مَا فَاتَكُمْ وَ لَا تَفْرَحُوْا بِمَاۤ اٰتٰىكُمْؕ-وَ اللّٰهُ لَا یُحِبُّ كُلَّ مُخْتَالٍ فَخُوْرِ ۙ ﹰ(۲۳)

Tarjuma: Nahi pahunchti koi museebat zameen mein aur nah tumhari jaanon mein magar woh aik kitaab mein hai qabal iske keh hum ussay paida karen, be shak yeh Allah ko aasaan hai. Is liye ke gham nah khao os par jo haath se jaye aur khush nah ho os par jo tum ko diya aur Allah ko nahi bhaata koi mutaqabbir barayi maarny wala.

Insaan ki fitrat mein yeh baat hai keh woh jaldi mayoos ho jata hai. Uski mayoosi ko daur karne aur gham ko halka karne ke liye yeh hai keh jab usay gham puhanche to uska zehen usay es baat ki taraf le jaye keh taqdeer mein likha tha is liye ho gaya. Taa ke uska gham halka ho.

Isi terhan jab khushi miley to bhi apna kamaal nah samjhay. Balkay esay Allah pak ki taraf phairay keh os ne taqdeer mein mery liye esay likha hai. Taa ke woh taqqabur aur sar kashi se mehfooz rahay. Aur har haal mein Allah pak ki Riza par raazi rahay.

5/5 - (2 votes)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *