Hazrat Isa علیہ السلام ney bani Israel ke samnay apni nabuwat aur Mojzat ka elaan karte hue yeh taqreer farmai. Jo Quran Majeed ki surah Al Imran mein hai:
Tarjuma : Aur Allah usay kitaab aur hikmat aur torait aur injeel sikhayiye ga. aur [1]Woh Isa bani Israel ki taraf rasool hoga keh main tumahray Rab ki taraf se tumahray paas aik nishani laya hon, woh yeh ke main tumahray liye matti se parinday jaisi aik shakal banata hon phir os mein phoonk maroon ga to woh Allah ke hukum se foran parindah ban jaye gi aur main pedaishi andhon ko aur korrh ke mareezon ko shifa deta hon aur main Allah ke hukum se murdon ko zindah karta hon aur tumhen ghaib ki khabar deta hon jo tum khatay ho aur jo apne gharon mein jama karte ho, bay shak in baton mein tumahray liye barri nishani hai agar tum imaan rakhtay ho. [2]P 3, Al Imran : 49
Is taqreer mein aap ney apne 4 mojzat ka elaan farmaya:
- Matti ke parind bana kar un mein phoonk maar kar un ko ura dena,
- Madar zaad andhay aur korrhi ko shifa dena,
- Murdon ko zindah karna,
- Aur jo kuch khaya aur jo kuch gharon mein chhupa kar rakha uski khabar dena.
Ab in Mojzat ki kuch tafseel bhi parh lijiye :
Matti ke parind bana kar urra dena
Jab bani Israel ne yeh mojza talab kiya ke matti ka parind bana kar urra den to Hazrat Isa علیہ السلام ne matti ke chimgadarr bana kar un ko ura diya. Hazrat Isa علیہ السلام ne parindon mein se chimgadarr ko is liye muntakhib farmaya ke parindon mein sab se barrh kar mukammal aur ajeeb o ghareeb yahi parindah hai kyun kay is ke aadmi ki terhan daant[3]Teeth bhi hotay hain aur yeh aadmi ki terhan hanstaa[4]Smile bhi hai aur yeh baghair par ke apne baazuon se urrta hai aur yeh parindah janwaron ki terhan bacha janta hai aur is ko haiz bhi aata hai.
Riwayat hai keh jab tak bani Israel dekhte rehtay yeh chimgadarr urrtay rehtay aur agar un ki nazron se oojhal ho jatay to gir kar mar jate they. Aisa is liye hota tha taa keh Khuda ke peda kiye hue aur banda e khuda ke peda kiye parind mein farq aur imtiaz baqi rahay. [5]Rooh ul bayan, ج۲, ص۳۷, پ۳, Al Imran : ۴۹
Madar zaad andhon ko Shifa dena
Riwayat hai keh aik din mein 50 andhon aur korrhioon ko aap ki dua se is shart par shifa haasil hui keh woh imaan layein ge.[6]Tafseer Jamal , ج۱, ص۴۱۹, پ۳, Al Imran ۴۹
Murdon ko zindah karna
Riwayat hai keh aap ne 4 murdon ko zindah farmaya
- Aazar apne dost ko,
- Aik budiya ke larke ko,
- Aik ushar wusool karne walay ki larki ko,
- Hazrat Saam bin Nooh علیہ السلام ko.
Aazar
Yeh Hazrat Isa علیہ السلام ke aik mukhlis dost they jab inka intaqal honay laga to un ki behan ne aap ke paas qasid bheja ke aap ka dost mar raha hai. Us waqt aap apne dost se 3 din ki doori ki musafat par they. Aazer ke intqaal o dafan ke baad Hazrat Isa علیہ السلام wahan puhanche aur Aazer ki qabar ke paas tashreef le gaye aur Aazer ko pukara to woh zindah ho kar apni qabar se bahar nikal aeye aur barson zindah rahay aur sahib e aulaad bhi hue.
Budiya ka beta
Yeh mar gaya tha aur log is ka janaza utha kar is ko dafan karne ke liye ja rahay they. Nagahan Hazrat Isa علیہ السلام ka idhar se guzar hua to woh aap ki dua se zindah ho kar janaza se uth betha aur kapra pehan kar apne janaza ki charpayee uthaye hue –apne ghar aaya aur muddaton zindah raha aur is ki aulaad bhi hui.
Asher ki beti
Aik chungi wusool karne walay ki larki mar gayi thi. Us ki mout ke aik din baad Hazrat Isa علیہ السلام ki dua se zindah ho gayi aur bohat dinon tak zindah rahi aur us ke kayi bachay bhi hue.
Hazrat Saam bin Nooh علیہ السلام
Oopar ke 3no murdon ko aap ne zindah farmaya to bani Israel ke shareeron ne kaha ke yeh 3no dar haqeeqat maray hue nahi they balkeh un 3no par saktah taari tha is liye woh hosh mein aa gaye lehaza aap kisi puranay murda ko zindah kar ke hamein dekhaiyye to aap ne farmaya ke Hazrat Saam bin Nooh علیہ السلام ko wafaat paye hue 4000 baras ka zamana guzar gaya.
Tum log mujhe un ki qabar par le chalo main un ko khuda ke hukum se zindah kar daita hon to aap ne un ki qabar ke paas ja kar isam e Aazam parrha to foran hi Hazrat Saam bin Nooh علیہ السلام qabar se zindah ho kar nikal aaye aur ghabraye hue poocha ke qayamat qaim ho gayi? phir woh Hazrat Isa علیہ السلام par imaan laaye phir thori der baad un ka intqaal ho gaya.
Jo khaya aur chupaya usko bata diya
Hadees shareef mein hai keh Hazrat Isa علیہ السلام apne maktab mein bani Israel ke bachon ko un ke maan baap jo kuch khatay aur jo kuch gharon mein chhupa kar rakhtay woh sab bata diya karte thay. Jab walidain nay bachon se daryaft kiya ke tumhen in baton ki kaisay khabar hoti hai? to bachon nay bata diya keh hum ko Hazrat Isa علیہ السلام maktab mein bata dete hain. Yeh sun kar maan baap nay bachon ko maktab jane se rok diya aur kaha ke Hazrat Isa علیہ السلام jadugar hain.
Jab Hazrat Isa علیہ السلام bachon ki talaash mein basti ke andar daakhil hue to bani Israel nay apne bachon ko aik makaan ke andar chhupa diya ke bachay yahan nahi hain aap nay poocha ke ghar mein kon hain? to shareeron nay keh diya ke ghar mein soor band hain. To aap nay farmaya keh acha soor hi hon ge. Chunancha logon nay is ke baad makaan ka darwaaza khola to makan mein se soor hi niklay.
Is baat ka bani Israel mein charcha ho gaya aur bani Israel nay ghaiz o gazab mein bhar kar aap ke qatal ka mansoobah bana liya. Yeh dekh kar Hazrat Isa علیہ السلام ki walida Hazrat Bibi maryam رضی اللہ عنہا aap ko sath le kar misar[7]Egypt ko hijrat kar gayeen. Is terhan aap shareeron ke shar se mehfooz rahay. [8]Tafseer Jamal Ali الجلالین, ص۴۱۹, پ۳, all Imran ۴۹
Hawala Jaat